padhne bhi na pae the ki wo mit bhi gai thi bijli ne ghataon pe jo tahrir likhi thi chup sadh ke baithe the sabhi log wahan par parde pe jo taswir thi kuchh bol rahi thi lahraate hue aae the wo amn ka parcham parcham ko uthae hue neze ki ani thi dube hue taron pe main kya ashk bahata chadhte hue suraj se meri aankh ladi thi is waqt wahan kaun dhuan dekhne jae akhbar mein padh lenge kahan aag lagi thi shabnam ki tarawish se bhi dukhta tha dil-e-zar ghanghor ghataon ko barasne ki padi thi palkon ke sitare bhi uda le gai 'anwar' wo dard ki aandhi ki sar-e-sham chali thi