kisi ki aankh mein khud ko talash karna hai phir us ke baad hamein aainon se darna hai falak ki band gali ke faqir hain tare! ki ghum phir ke yahin se unhen guzarna hai jo zindagi thi meri jaan! tere sath gai bas ab to umr ke naqshe mein waqt bharna hai jo tum chalo to abhi do qadam mein kat jae jo fasla mujhe sadiyon mein par karna hai to kyun na aaj yahin par qayam ho jae ki shab qarib hai aakhir kahin thaharna hai wo mera sail-e-talab ho ki teri ranai chadha hai jo bhi samundar use utarna hai sahar hui to sitaron ne mund lin aankhen wo kya karen ki jinhen intizar karna hai ye khwab hai ki haqiqat khabar nahin 'amjad' magar hai jina yahin par yahin pe marna hai