jo na hon kuchh tashrih-talab kam hote hain us ke ishaare sare mubham hote hain har chehra har rang mein aane lagta hai pesh-e-nazar yaadon ke albam hote hain aise mein aa jati hai apni hi yaad aaina hota hai aur hum hote hain bhulne lagte hain jugnu bhi apni rah palkon par jab qatra-e-shabnam hote hain mauj-e-bala jab sar se guzarne lagti hai mazlumon ke hath hi parcham hote hain mutthi se phisle hi jate hain har phal wasl ke lamhe tar-e-resham hote hain kya jaane jo diwar-o-dar ka hai asir rahon mein kya kya pech-o-kham hote hain koi purana khat kuchh bhuli-bisri yaad zakhmon par wo lamhe marham hote hain 'anjum' jalne lagte hain har samt diye dard ke hamle dil par paiham hote hain