lahje ka ras hansi ki dhanak chhoD kar gaya

lahje ka ras hansi ki dhanak chhod kar gaya
wo jate jate dil mein kasak chhod kar gaya

mauj-e-hawa-e-gul sa wo guzra tha ek bar
phir bhi masham-e-jaan mein mahak chhod kar gaya

aaya tha pichhli raat dabe panw mere ghar
pazeb ki ragon mein jhanak chhod kar gaya

larza giraft-e-lams ki lazzat se bar bar
banhon mein shakh-e-gul ki lachak chhod kar gaya

aaya tha shahr-e-gul se bulawa mere liye
zindan mein bediyon ki chhanak chhod kar gaya

tha dekhna kuchh apna tilism-e-hunar use
bagh-e-bahisht o hur o malak chhod kar gaya

aawara ku-ba-ku ye use dhundhti phire
pa-e-hawa mein kaisi sanak chhod kar gaya

hanste the zakhm aur bhi kha kha ke zarb-e-sang
rahon mein phul dur talak chhod kar gaya

hathon mein de ke khinch lin resham-kalaiyan
kamre mein chudiyon ki khanak chhod kar gaya

aankhen na us ki bar-e-nadamat se uth sakin
zakhmon pe mere aur namak chhod kar gaya

palkon pe jugnuon ka basera hai waqt-e-sham
'anjum' main paniyon mein chamak chhod kar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close