kaman uthao ki hain samne nishane bahut abhi to khali pade hain lahu ke khane bahut wo dhup thi ki hui ja rahi thi jism ke par agarche hum ne ghane sae sar pe tane bahut abhi kuchh aur ka ehsas phir bhi zinda hai nawah-e-jism ke asrar hum ne jaane bahut ziyaada kuchh bhi nahin ek musht-e-khak se main zara si chiz ko phaila diya hawa ne bahut laga hua hun udhar waqt ko sametne mein phisal rahe hain idhar hath se zamane bahut safar qayam se behtar nahin raha ab ke ki ja-ba-ja the meri rah mein thikane bahut badi ajib thi pichhli khamosh raat 'hasan' mujhe rulaya kisi daur ki sada ne bahut