jo narawa tha us ko rawa karne aaya hun main qarz dusron ka ada karne aaya hun ek taza-tar futur mere sar mein aur hai jo kar chuka hun us se siwa karne aaya hun khud ek sawal hai mera aana hi is taraf ab kya bataiye ki main kya karne aaya hun kahni hai dusron se alag main ne koi baat main kaam koi sab se juda karne aaya hun ek dagh hai ki jis ka lagana hai ab suragh ek zakhm hai ki jis ko hara karne aaya hun anjam-e-kar dil ka ye darwaza tod kar main sare qaidiyon ko riha karne aaya hun rakhta hun apna aap bahut khinch-tan kar chhota hun aur khud ko bada karne aaya hun jo kar rahe hain aise hi karte rahenge sab main to fuzul chun-o-chara karne aaya hun khairaat ka mujhe koi lalach nahin 'zafar' main is gali mein sirf sada karne aaya hun