mujhko utar harf mein jaan-e-ghazal bana mujhe

mujh ko utar harf mein jaan-e-ghazal bana mujhe
meri hi baat mujh se kar mera kaha suna mujhe

rakhsh-e-abad-khiram ki thamti nahin hain bijliyan
subh-e-azal-nizhad se karna hai mashwara mujhe

lauh-e-jahan se peshtar likkha tha kya nasib mein
kaisi thi meri zindagi kuchh to chale pata mujhe

kaise hon khwab aankh mein kaisa khayal dil mein ho
khud hi har ek baat ka karna tha faisla mujhe

chhote se ek sawal mein din hi guzar gaya mera
tu hai ki ab nahin hai tu bas ye zara bata mujhe

kaise guzarna hai mujhe us pul-siraat-e-waqt se
waise to de gae sabhi jate hue dua mujhe

mera safar mera hi tha uthte kisi ke kya qadam
apne liye tha khojna apna hi naqsh-e-pa mujhe

lagta hai chal rahi hun main ruh-e-tamam ki taraf
jaisi thi ibtida mujhe waisi hai intiha mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close