jo pardon mein khud ko chhupae hue hain qayamat wahi to uthae hue hain teri anjuman mein jo aae hue hain gham-e-do-jahan ko bhulae hue hain pahadon se bhi jo uthae na uttha wo bar-e-wafa hum uthae hue hain koi sham ke waqt aaega lekin sahar se hum aankhen bichhae hue hain jahan bijliyan khud aman dhundti hain wahan hum nasheman banae hue hain ghazal aabru hai tu urdu zaban ki teri aabru hum bachae hue hain ye ashaar yun hi nahin dard-agin 'hafiz' aap bhi chot khae hue hain