khafa hai gar ye khudai to fikr hi kya hai teri nigah salamat mujhe kami kya hai bas ek tajalli-e-rangin bas ek tabassum-e-naz riyaz-e-dahr mein phulon ki zindagi kya hai khuda-rasida sahi lakh barguzida sahi jo aadmi ko na samjhe wo aadmi kya hai abas ye mashq-e-ruku-o-sujud hai yaro agar pata nahin mafhum-e-bandagi kya hai kahin ye lutf-o-inayat ki ibtida to nahin tumhin batao ye andaz-e-barhami kya hai dilon ke tar jo chhu le wahi hai sher 'hafiz' agar ye baat nahin hai to shairi kya hai