jo pilae wo rahe yarab mai-o-saghar se khush khush rahe pir-e-mughan jate hain us ke dar se khush sang-e-khun-aluda ko samjhe hain ye gulshan ka phul tod kar sar tere diwane hain kya patthar se khush us gali ke rahne wale bhi maze ke log hain fitna-e-mahshar se khush hangama-e-mahshar se khush yun gale se kyun lagata sakht-jaanon ko koi hum gale mil kar hue kya kya tere khanjar se khush khum ke khum bhar bhar ke jaen kam na ho mai bund-bar zahid-o-ham hain tumhaare chashma-e-kausar se khush khun pani ek mera ho gaya un ke liye apne zakhm-e-dil se khush hon apne chashm-e-tar se khush dil mein ghar karti hai wo kafir mizha kafir nigah main tere paikan se khush hun main tere nashtar se khush khana bagh-e-ghair mein the ya khule maidan mein wo kahin se aae hon aae hain kuchh bahar se khush mai-kade mein aa ke pite hain pilate hain 'riyaz' kah rahi hai waza un ki hain ye apne ghar se khush