jo puchhte hain ki ye ishq-o-ashiqi kya hai wo jaante nahin maqsud-e-zindagi kya hai zamir-e-pak khayal-e-buland zauq-e-latif bas aur is ke siwa jauhar-e-khudi kya hai wafa ki aad mein kya kya hui jafa hum par jo dosti yahi thahri to dushmani kya hai baja hai fart-e-junun ne hamein kiya ruswa jamal-e-yar mein aakhir ye dilkashi kya hai wufur-e-shauq ki mayusiyan are tauba dil-e-tabah mein ab aarzu rahi kya hai agar na jurm-e-mohabbat ki ye saza hoti to baat baat pe hum se ye be-rukhi kya hai na samjho tum meri arz-e-niyaz ko shikwa main jaanta hun taqaza-e-bandagi kya hai ata kiya tha jo zauq-e-numud us dil ko to har qadam pe ye rang-e-shikastagi kya hai gurez kya main karun naseho ki sohbat se jahan na kuchh ho ye sohbat wahan buri kya hai wafa se aur na tark-e-wafa se aap hain khush mujhe bataiye phir aap ki khushi kya hai fareb-e-hasti-e-mauhum kha raha hun hanuz mujhe khabar hai haqiqat yahan meri kya hai jo gamzan hain sar-e-jada-e-talab 'najmi' wo jaante nahin duniya mein bebasi kya hai