kitna mukhtasar hai ye zindagi ka afsana ek gam-e-mardana ek raqs-e-mastana tu hi ek shaki hai zauq-e-tishna-kaami ka gharq-e-mauj-e-sahba hai jabki sara mai-khana bas yahi hai le de ke duri-e-rah-e-manzil do qadam dilerana do qadam shitabana haq tujhe hai kya hasil zer-e-charkh jine ka hadsat-e-alam se tu agar hai begana dil nahin wo sine mein ek sang-e-khara hai ho na jis mein poshida aah-e-dard-mandana ye bhi ek dhoka hai dida-e-ghalat-bin ka warna kaun diwana aur kaun farzana gah gah ladta rah aql-e-maslahat-bin se gah gah leta ja hath mein bhi paimana