jo qarz mujh pe hai wo bojh utarta jaun koi sune na sune main pukarta jaun mita chuka hun jise apne safha-e-dil se ghazal ghazal wahi chehra ubhaarta jaun na jaane mere taaqub mein kaun kaun aae main apne naqsh-e-kaf-e-pa ubhaarta jaun jo mere pas hai apne liye bacha rakkhun jo mere pas nahin tujh pe warta jaun qadam qadam pe nae log samne aaen qadam qadam pe nae rup dhaarta jaun kahin bane na ana meri rah mein diwar ye tauq apne gale se utarta jaun muqabla to karun 'rashid' apne dushman se ye aur baat hai jitun ki haarta jaun