nafrat hai faza mein to mohabbat bhi bahut hai jine ke liye dard ki daulat bhi bahut hai hai dast-e-sitam-gar ko agar fursat-e-azar dukhiyaron mein dukh sahne ki himmat bhi bahut hai kuchh shama ki hai husn-e-jahan-soz ka jadu parwanon mein kuchh shauq-e-shahadat bhi bahut hai mail-ba-karam bhi hua karte hain wo aksar tazir-pasand apni tabiat bhi bahut hai hain qatl pe aamada hama-waqt wo us ke jis ke liye aankhon mein murawwat bhi bahut hai ab dast-e-masiha ki karamat hain wo chand marham bhi hai saman-e-jarahat bhi bahut hai