na mana mera kahna dil gaya kyun dad-khwahi ko saza dete hain wan mujrim bana kar be-gunahi ko hamari be-kasi ne chhan dala hai jahan sara siwa tere thikana hi nahin hai be-panahi ko qayamat mein wo mujh ko dekh kar kahte hain ghairon se khuda ki shan hai aashiq chale hain dad-khwahi ko udai khak us ki khub ja kar koh-o-sahra mein dil-e-wahshi ne kya ulte diye chakkar tabahi ko ujad jaega jis din karkhana baada-khwaron ka bahut roega saqi kashti-e-mai ki tabahi ko bura ho rashk ka rahbar samajh kar dil se jo puchha adam ka rasta batla diya gum-gashta-rahi ko