jo qurbaton ke nashe the wo ab utarne lage hawa chali hai to jhonke udas karne lage gai ruton ka talluq bhi jaan-lewa tha bahut se phul nae mausamon mein marne lage wo muddaton ki judai ke baad hum se mila to is tarah se ki ab hum gurez karne lage ghazal mein jaise tere khadd-o-khal bol uthen ki jis tarah teri taswir baat karne lage bahut dinon se wo gambhir khamushi hai 'faraaz' ki log apne khayalon se aap darne lage