wo kahan sath sulate hain mujhe khwab kya kya nazar aate hain mujhe us pari-wash se lagate hain mujhe log diwana banate hain mujhe ya rab un ka bhi janaza utthe yar us ku se uthate hain mujhe abru-e-tegh se ima hai ki aa qatl karne ko bulate hain mujhe bewafai ka adu ki hai gila lutf mein bhi wo satate hain mujhe hairat-e-husn se ye shakl bani ki wo aaina dikhate hain mujhe phunk de aatish-e-dil dagh mere us ki khu yaad dilate hain mujhe gar kahe ghamza kise qatl karun to ishaarat se batate hain mujhe main to us zulf ki bu par ghash hun chaaragar mushk sunghate hain mujhe shoala-ru kahte hain aghyar ko wo apne nazdik jalate hain mujhe jaan gai par na gai jaur-kashi baad-e-murdan bhi dabaate hain mujhe wo jo kahte hain tujhe aag lage muzhda-e-wasl sunate hain mujhe ab ye surat hai ki ai parda-nashin tujh se ahbab chhupate hain mujhe 'momin' aur dair khuda khair kare taur bedhab nazar aate hain mujhe