jo roen dard-e-dil se tilmila kar to wo hansta hai kya kya khilkhila kar yahi dekha ki uthwae gae bas jo dekha tuk udhar ko aankh utha kar bhala dekhen ye kin aankhon se kyun ji kisi ko dekhna hum ko dikha kar khada rahne na den wo ab ki jo shakhs uthate the maze hum ko bitha kar gaya wo dil bhi pahlu se ki jis ko kabhi rote the chhati se laga kar chali jati hai tu ai umr-e-rafta ye hum ko kis musibat mein phansa kar khat aaya wan se aisa jis se apna nawishta khub samjhe hum padha kar abhi ghar se nahin nikla wo tis par chala ghar-bar ek aalam luta kar diya dhadka use kuchh wasl mein hae bigadi baat gardun ne bana kar mohabbat in dino jo ghat gai wan to kuchh pate nahin us pas ja kar magar hum shauq ke ghalbe se har bar khajil hote hain hath apna badha kar nahin munh se nikalti us ke kuchh baat kisi ne kya kaha 'jurat' se aa kar