kabhi be-niyaz-e-makhzan kabhi dushman-e-kinara kahin tujh ko le na dube teri zindagi ka dhaara meri quwwat-e-nazar ka kai rukh se imtihan hai kabhi uzr-e-lan-tarani kabhi dawat-e-nazara gham-e-ishq hi ne kati gham-e-ishq ki musibat isi mauj ne duboya isi mauj ne ubhaara tere gham ki parda-poshi jo isi ki muqtazi hai to qasam hai tere gham ki mujhe har khushi gawara dam-e-subh-e-nau-bahaaran jo kali chaman mein chatki to guman hua ki jaise mujhe aap ne pukara mere nakhuda na ghabra ye nazar hai apni apni tere samne hai tufan mere samne kinara meri kashti-e-tamanna kabhi khushkiyon mein dubi kabhi bahr-e-gham ka tinka mujhe de gaya sahaara tera haq bhi sar ba-zanu mera kufr bhi pashiman mujhe aagahi ne luta tujhe ghaflaton ne mara ye karam ye mehrbani teri 'faruq'-e-hazin par ye gila hai kyun na bakhsha mujhe shukriye ka yara