jo rahin-e-taghayyuraat nahin maut hai maut wo hayat nahin kuchh bahaaron hi pe nahin mauquf meri wahshat ko bhi sabaat nahin masale husn ke bhi nazuk hain ishq hi ke muamlat nahin aaj se dil ye bazm hai un ki ye harim-e-tasawwuraat nahin shakh-e-gul ho ki gardan-e-mina mere hathon mein un ka hat nahin kaba-o-dair ko sabaat hai kab mai-kade ko agar sabaat nahin husn se kaenat hai 'saghar' ishq buniyaad-e-kaenat nahin