kab is se qabl nazar mein gul-e-malal khila kisi ki yaad mein lekin ye ab ke sal khila ajib aab-o-hawa thi ajib thi mitti so dil ke goshe mein ek phul be-misal khila main chhu ke dekh rahi thi ki sabza-e-rukh par gulab-e-surkh ki surat tera jamal khila main dam-ba-khud hi rahi aur shisha-e-jaan par misal-e-reza-e-khurshid ek visal khila safar ki sham sitara nasib ka jaga phir aasman-e-mohabbat pe ek hilal khila isi tarah se teri yaad gul khilati rahi ki zakhm bharne laga jab to indimal khila ye waqia hai ki is bar to bahaar ke baad khila hai gulshan-e-ummid aur kamal khila