jo raqibon ne kaha tu wahi bad-zan samjha dost afsos na samjha mujhe dushman samjha na-tawan wo hun ki bistar pe mujhe dekh ke aah tar-e-bistar koi samjha koi sozan samjha tegh-e-qatil jo mohabbat se lagi aa ke gale tab ko us ki main apni rag-e-gardan samjha apne pajama-e-kam-khwab ki har boti ko shama-ru shab ko charagh-e-tah-e-daman samjha sur-at-e-ablaq-e-ayyam se ghafil tha aah dam-e-akhir main use umr ka tausan samjha khar-e-sahra se chhidi jab kaf-e-pa majnun ki khak-bezi ko wo ghirbaal ka rauzan samjha kamar-e-yar ka az-bas-ki jo rahta hai khayal dil ko main chini-e-mu-dar ka bartan samjha gul ko malum na thi hasti-e-fani apni ai nasim-e-sahari waqt-e-shaguftan samjha bistar-e-gul se munaqqash jo hua us ka badan tan-e-nazuk pe wo phul-kari ki chipkan samjha jite-ji chahiye hai aaqibat-e-kar ki fikr faeda kya agar insan pas-e-murdan samjha mirzai ko na fariyaad ne chhoda ta-marg jigha-e-sar tujhe ai tesha-e-ahan samjha aks-afgan hai tere saghar-e-sahba mein ye zulf tu abas ai but-e-mai-kash use nagan samjha saya-e-zulf ne us ke ye diya dhoka raat chalne walon ne jise afi-e-rahzan samjha chashm ne apni taraf se to sujhai thi 'nasir' dil na par us sitam-ijad ki chitwan samjha