josh-e-girya ye dam-e-rukhsat-e-yar aae nazar abr-e-joshan ka bandha jaise ki tar aae nazar rang-e-gulzar jahan garche hazar aae nazar chain par dil ko kahan taki na yar aae nazar apna jab ku-e-tasawwur mein guzar aae nazar jis taraf dekhen udhar surat-e-yar aae nazar hun main kis ghairat-e-gulzar ka zakhmi ki mere har bun-e-mu pe gul-e-zakhm hazar aae nazar bin padhe phad ke khat rakh de jo wo rauzan mein jun qalam sina mera kyun na figar aae nazar ham-sukhan jis se na ho sakiye phir us shokh se aah! aur kuchh baat ka kab dar-o-madar aae nazar ho jahan jumbish-e-lab ka bhi na yara ai wae munh kahan ye ki jo wan bos-o-kanar aae nazar hum dil-afrokhta wan jun sharar-e-sang hain aah na jahan paik-e-saba ka bhi guzar aae nazar sar-bulandi jinhen de charkh na de chain unhen ki ba-gardish mah-o-khur lail-o-nahaar aae nazar jab ki har roz katin wade pe ghadiyan ginte kyun na har din hamein phir roz-e-shumar aae nazar us ke mahram pe bhabuka si jo dekhun chidiya kyun na jun tair-e-simab qarar aae nazar ho ba-sad-rang shagufta lab-e-dariya pe wo bagh har rawish jis mein ki bas lutf-e-hazar aae nazar chaar su naghma-sarai mein hon murghan-e-chaman shakh-dar-shakh ajaib gul-o-bar aae nazar mauj-e-dariya idhar atkheli ki chaalen dikhlae aur udhar raqs-kunan baad-e-bahaar aae nazar howe atraf se ghanghor ghata ghir aai kaund bijli ki ho aur padti phuwar aae nazar ek taraf mor munderon pe karen kya kya shor ek taraf abr mein baglon ki qatar aae nazar gardish-e-jam ho jun gardish-e-chashman-e-butan hath mein mutrib-e-sar-khush ke sitar aae nazar lab-ba-lab sina-ba-sina jise chahen wo ho gulshan-e-zist ki tab hum ko bahaar aae nazar aashiqana ghazal ab padh koi 'jurat' tah-dar mani-e-taza bhi ta yaron ko yar aae nazar