jo sach hi bechna pade to mol-bhao kya karen hain aks aks aaine to rakh-rakhaw kya karen hain shahr bhar mein shadiyan har ek shakhs shadman kisi ke samne hum apne dil ke ghaw kya karen thi mutmain nigah bhi ke bah chuka hai sail-e-gham hua magar jo sahn-e-dil mein jal-bhraw kya karen ye kis ke gham ki aanch se sulag raha hai aasman bujhega kis tarah zamin ka ye alaw kya karen jo titliyan nahin dikhai den to fikr ho gai bahaar ka chaman se ab hai chal-chalaw kya karen nadi mein aai badh ko khabar samajh rahe the hum hamare ghar ki samt bhi hai ab bahaw kya karen bana ke bhanp dhup ye uda na de hamein kahin hai jaan sard chhanw ka kahan padaw kya karen hamein zamin aziz thi tumhein falak ki aarzu rah-e-hayat ka ajib tha ghumaw kya karen jo kal hamein bachae thi samundaron ke darmiyan 'hina' hai aaj dubne ko khud wo naw kya karen