kahin pe mal-o-duniya ki kharidari ki baaten hain kahin pe din-ba-din badhti riya-kari ki baaten hain bhare bazar mein sach ki dukanon par hai sannata tijarat jhut ki chamki hai makkari ki baaten hain kahin roze pe roze sirf pani pi ke khulte hain kahin bas nam pe rozon ke iftari ki baaten hain kahin khana hi khana hai magar pine se kab fursat kahin pe bhuk ki basti mein bimari ki baaten hain zamane aur the wo jin mein kuchh darwesh hote the nae is daur mein har samt bad-kari ki baaten hain wafa isar qurbani wahan ab log kya jaanen jahan nilam hote zarf-o-khuddari ki baaten hain kabhi mazhab tha dil mein ab hai daulat ki panahon mein khuda ka nam le kar bhi gunahgari ki baaten hain kisi ke zakhm pe marham 'hina' rakhta nahin koi namak lahjon ne ghola qalb-azari ki baaten hain