raat-bhar chand ki galiyon mein phiraati hai mujhe zindagi kitne hasin khwab dikhati hai mujhe in dinon ishq ki fursat hi nahin hai warna us dariche ki udasi to bulati hai mujhe tod deta hun ki ye bhi kahin dhoka hi na ho jam mein jab teri surat nazar aati hai mujhe din isi farq ke jangal mein guzar jata hai raat yaadon ka wahi zahr pilati hai mujhe sath jis roz se chhuta hai kisi ka 'azar' jaise kamre ki har ek chiz daraati hai mujhe