meri duniya mein abhi raqs-e-sharar hota hai jo bhi hota hai ba-andaz-e-digar hota hai bhul jate hain tere chahne wale tujh ko is qadar sakht ye hasti ka safar hota hai ab na wo josh-e-wafa hai na wo andaz-e-talab ab bhi lekin tere kuche se guzar hota hai dil mein arman the kya ahd-e-bahaaran ke liye chaak-e-gul dekh ke ab chaak-e-jigar hota hai hum to hanste bhi hain ji jaan se jaane ke liye tum jo rote ho to aansu bhi guhar hota hai sainkadon zakhm use milte hain is duniya se koi dil tera talabgar agar hota hai qafila lutta hai jis waqt sar-e-rahguzar us ghadi qafila-salar kidhar hota hai 'anjum'-e-sokhta-jaan ko hai khushi ki ummid raat mein jaise kabhi rang-e-sahar hota hai