jo shahon ko nahin hasil wo jauhar pas rakhta hai sukun-e-qalb har shahzada-e-iflas rakhta hai wo apni zat ko mahw-e-qunut-o-yas rakhta hai samundar khud ko kahta hai labon par pyas rakhta hai hain takht-o-taj ki khatir dayar-e-kufr ke sajde magar momin faqat allah par wishwas rakhta hai musalsal chikhta rahta hai hum ye jang jitenge jo har lamha shikast-e-fash ka ehsas rakhta hai shurur-e-nafs aur khannas phir bhi ghaalib aate hain agarche wo labon par sura-e-wannas rakhta hai tawajjoh ko wahi markaz wo taskin-e-nigah-o-dil wo sada shakhs jo kirdar ki bu-bas rakhta hai jiyo to is tarah jaise watan ki tum zarurat ho wagarna be-hunar se kaun 'hanafi' aas rakhta hai