kausar ki halawat hai meri tishna-labi mein masruf hun main madh-e-rasul-e-arabi mein tanhai mein dam-saz hai us mah ka tasawwur kyon mauj-e-ziya ho na meri tira-shabi mein hai husn bhi akhlaq bhi rahmat bhi karam bhi makki madani hashmi-o-muttalabi mein har husn ka mehwar hai wo ek zat-e-muqaddas har ilm ka jauhar hai ek ummi arabi mein har zarra nazar aata hai khurshid-badaman jalwe hain ajab se mere aaqa ki gali mein kis aankh ne dekha hai koi aap ka ham-sar kis ko hai kalam aap ki aali-nasabi mein ai chashm-e-karam teri masihai ke qurban kuchh farq hai shayad meri darman-talabi mein 'azam' badi neamat hai ye rona ye tadapna har dard ka darman hai is aah-e-sahari mein