jo shahr-e-wahshat mein ja basa ho wo kya sukun-o-qarar likkhe

jo shahr-e-wahshat mein ja basa ho wo kya sukun-o-qarar likkhe
kise hai ye hausla ki bikhre to kirchiyon ka shumar likkhe

kabhi sunai nahin kisi ko bhi dastan-e-dil-e-darida
bahut qarine se zakhm likkhe bahut saliqe se khar likkhe

bahut suhulat se chup ko likkha likha hai hasrat se guftugu ko
wo jo guman the koi na likkhe yaqin ke pahlu hazar likkhe

rafaqaton ke nagar mein dekha akela-pan tha muhit har su
talab kisi ko nahin kisi ki na ab koi gham-gusar likkhe

safar hai lazim to kyon ho matam ye raegani ka zikr kaisa
jo mere raste ke pech-o-kham the wo rahguzar ka ghubar likkhe

kisi kahani mein ranj likkha kisi ghazal mein hai zabt-e-girya
kabhi sanwarne ki baat ki hai kahin faqat iztirar likkhe

'hijab' kahna ye us se ja kar kisi ko tera junun nahin hai
kisi ko ujlat nahin hai koi sukun se intizar likkhe

ye dil aham hai chalo ye mana magar suno ye ana bhi kuchh hai
to ye bhi us se 'hijab' kahna kabhi na khud be-qarar likkhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close