jo shakhs akela hi bojhal safar se aaya tha kisi ne puchha wo lut kar kidhar se aaya tha ye raushni to meri wahshaten badha gai aur main raushni mein andheron ke dar se aaya tha jise kahin bhi na tikne diya hawaon ne wo barg kuchh bhi tha kat kar shajar se aaya tha jo sang itni hararat lahu ko bakhsh gaya mujhe nawazne mere hi ghar se aaya tha nawed-e-amad-e-chaara-garan ko jug bite qarar dil ko zara is khabar se aaya tha hum itne aae jhulas kar kisi ne ye na kaha tumhaara qafila kis rah-guzar se aaya tha mila jo kuze ko aanchon mein tap ke rang-e-sabaat wo pahle sholagi-e-kuza-gar se aaya tha ajib dhun ka musafir tha kuch kar gaya aaj gharib ghar ki hi chahat mein ghar se aaya tha