jo sine par teri zulfon ka abr aata to behtar tha jila-e-qalb hoti dil sanbhal jata to behtar tha kisi laila se kam jaana nahin tujh ko kabhi hum ne tujhe bhi hum mein koi qais dikh jata to behtar tha nahin pani mayassar to in aankhon ko to dhoka ho sarab-e-reg se ek pal ko chain aata to behtar tha ye kaise dost main ne aastinon mein basae hain na hota in se gar mera koi nata to behtar tha wo ek jo gosha-e-dil dhundhta hun main ye dil le ke usi ko dhundhne mein ye bhi kho jata to behtar tha jawan beta ki jis se bap kuchh kahta hai dar dar ke wo apne bap se thoda sa dar jata to behtar tha siyasat tere daman par ye itne dagh kaise hain kisi ke khun se ye bhi chamak jata to behtar tha