na bahar hi lage hai dil na ghar jaane ko ji chahe samajh mein kuchh nahin aata kidhar jaane ko ji chahe badi hangama-parwar hain meri tanhaiyan yun to kisi ki anjuman mein bhi magar jaane ko ji chahe salib-o-dar ki rahen ye basti aur ye virane bata zauq-e-junun tera kidhar jaane ko ji chahe milana muskura kar apni nazren un ki nazron se jab ai shiraaza-e-hasti bikhar jaane ko ji chahe bhatakta phir raha hun dar-ba-dar din ke ujalon mein andhere sham ke bikhren to ghar jaane ko ji chahe pa-e-tafrih jaane kis taraf wo rukh karen apna ujalon ki tarah har-su bikhar jaane ko ji chahe ye duniya jabki ranj-o-dard se mamur hai 'nadim' magar phir bhi yahan apna thahar jaane ko ji chahe