juda ho kar wo hum se hai juda kya samaat ka sada se fasla kya khud apne aalam-e-hairat ko dekhe tera munh tak raha hai aaina kya andhera ho gaya hai shahr bhar mein koi dil jalte jalte bujh gaya kya lahu ki koi qimat hi nahin hai tere rang-e-hina ka khun baha kya charaghon ki safen suni padi hain hamare baad mahfil mein raha kya dilon mein bhi utaro koi mahtab zamin par khinchte ho daera kya diya apna bujha do khud hi 'shaer' hawa-e-nim-shab ka aasra kya