jo tu gaya tha to tera khayal rah jata hamara koi to pursan-e-haal rah jata bura tha ya wo bhala lamha-e-mohabbat tha wahin pe silsila-e-mah-o-sal rah jata bichhadte waqt dhalakta na gar in aankhon se is ek ashk ka kya kya malal rah jata tamam aaina-khane ki laj rah jati koi bhi aks agar be-misal rah jata gar imtihan-e-junun mein na karte qais ki naql 'jamal' sab se zaruri sawal rah jata