kabhi jhidki se kabhi pyar se samjhate rahe hum gai raat pe dil ko liye bahlate rahe apne akhlaq ki shohrat ne ajab din dikhlae wo bhi aate rahe ahbab bhi sath aate rahe hum ne to lut ke mohabbat ki riwayat rakh li un se to pochhiye wo kis liye pachhtate rahe us ke to nam se wabasta hai kaliyon ka gudaz aansuo tum se to patthar bhi pighal jate rahe yun to na-ahlon ke pine pe jigar katta tha hum bhi paimane ko paimane se takraate rahe un ki ye waz-e-qadimana bhi allah allah! pahle ehsan kiya baad ko sharmate rahe yun kise milti hai mamul se fursat lekin hum to is lutf-e-gham-e-yar se bhi jate rahe