raste mein to khatraat ki sun-gun bhi bahut hai manzil pe pahunchne ki hamein dhun bhi bahut hai har shahr mein taza hai to bas zakhm-e-tassub kuchh lazzat-e-nahaq ka taawun bhi bahut hai kuchh hathon se kuchh maton se kalak nahin jati har chand ki bazar mein sabun bhi bahut hai wo hath tahaffuz ki alamat jise kahiye mahsus ye hota hai wahi sun bhi bahut hai ek jism ke manind hain hum log kahin hon thokar se ukhadta hai to nakhun bhi bahut hai hum sher kaha karte hain wijdan ke bal par kuchh logon ko zoam-e-failatun bhi bahut hai