jo tu nahin to mausam-e-malal bhi na aaega gae dinon ke baad ahd-e-haal bhi na aaega meri sukhan-saraiyon ka e'tibar to nahin jo tu nahin to hijr ka sawal bhi na aaega agar wo aaj raat hadd-e-iltifat tod de kabhi phir us se pyar ka khayal bhi na aaega shab-e-visal hai bisat-e-hijr hi ulat gai to phir kabhi khayal-e-mah-o-sal bhi na aaega milega kya tilism-e-zat ka hisar tod kar ki is ke baad shahr-e-be-misal bhi na aaega