jo tum se mila hoga jo tum ne diya hoga wo gham bhi masarrat ke sanche mein dhala hoga ai ham-safaro us ka kya haal hua hoga manzil ke qarib aa kar jo shakhs luta hoga hum rah-e-mohabbat se is tarah se guzrenge jo naqsh-e-qadam hoga taswir-e-wafa hoga hum to tumhein hasti ka mukhtar samajhte hain jo tum ne kaha hoga achchha hi kaha hoga ab yun hi tadapne do mujh ko mere ghamkhwaro taskin agar doge dard aur siwa hoga maujon ki rawani se mahsus ye hota hai diwana koi 'ghazi' tufan se lada hoga