jo zehn-o-dil ke zahrile bahut hain wahi baaton ke bhi mithe bahut hain chalo ahl-e-junun ke sath ho len yahan ahl-e-khirad saste bahut hain meri be-chehragi par hansne walo tumhaare aaine dhundle bahut hain zara yaadon ke hi patthar uchhaalo nawah-e-jaan mein sannate bahut hain teri baala-qadi badnam hogi yahan ke baam-o-dar niche bahut hain shajar be-saya hain suraj barahna magar hum azm ke pakke bahut hain karo ab fath ka elan 'akhtar' saron se surkh-ru neze bahut hain