jo ziyan dil ka hua us ka izala ho jaun ab to izhaar-e-mohabbat ka saliqa ho jaun khinchna hai tere daman ko harifana mujhe ek zara ruk mere yusuf main zulekha ho jaun main sitare ki tarah waqt pe hota hun ghurub shab tera sath raha ab main sawera ho jaun tere bimar ka hota hai maraz aur siwa tu jo bimar ho mera to main achchha ho jaun main shanawar hun zamane ke bhare dariya ka par utarna ho tujhe gar to safina ho jaun itna be-dard abhi dil to nahin hai mera sath kyun chhod dun apna main zamana ho jaun waqt-e-rukhsat to chamak apni dikhani hai mujhe chand banne se raha subh ka tara ho jaun