mehnat koshish aur wafa ke khugar zinda rahte hain jin ko marna aa jata hai aksar zinda rahte hain fitrat ki wusat hai kitni kaun kahan tak dekhega aankhen mar jati hain lekin manzar zinda rahte hain patthar marne wale ek din khud patthar ho jate hain rah-e-wafa mein jo sahte hain patthar zinda rahte hain haq ki khatir pesh karen jo apni jaan ka nazrana zinda rahne walon se bhi badh kar zinda rahte hain ek din paida karte hain bhaunchaal ki surat jismon mein lawe jazbon ke sine ke andar zinda rahte hain jin ke dam se dharti raushan rashk-e-falak dikhlai de aise insan aise mah-o-akhtar zinda rahte hain zulm ke sail-e-khun mein ek din zalim bhi bah jata hai lashkar mar jata hai aur behtar zinda rahte hain aise logon ka mar jaana jine se bhi behtar hai wo jo log 'munawar' sab se dar kar zinda rahte hain