kab baithte hain chain se iza uthae bin lagta nahin hai ji kahin lagga lagae bin jab tak na be-qarar hon padta nahin qarar aata nahin hai chain hamein tilmilae bin be-ah-o-nala munh se nikalti nahin hai baat hairan baithe rahte hain aansu bahae bin zindan lage hai ghar jo kisi ka na hon asir aate nahin ba-khud kahin hum aae jae bin diwane gar na hon to pari-ru na dekhen sair bigde hai baat haal-e-pareshan banae bin jumbish na dast-o-pa mein ho be-shorish-e-junun afsurda-taba rahte hain dhumen machae bin gar ho na dard-e-ishq to be-dard hum kahaen kuchh lutf-e-guftugu hi nahin hae-wae bin kya josh-e-taba ho na mai-e-ishq gar piyen kuchh kaifiyat nahin hai ye pyala pilae bin gar bar mein ho na koi to pahlu-tahi rahe kya baithna hai zanu se zanu bhidae bin koi na de dikhai to kya khak dekhiye rahte asir-e-gham hain kisi ke bulae bin afkar saikdon hon agar ho na fikr-e-ishq warastagi kahan hai kahen ji phansae bin qatil se gar na miliye to 'jurat' hamari kya jun gul shagufta ho na koi zakhm khae bin