khuli faza ka ubharta nahin saman ghar mein

khuli faza ka ubharta nahin saman ghar mein
nahin banate parinde ab aashiyan ghar mein

jo chal rahi thin to dahka kiye dar-o-diwar
rukin hawaen to bharne laga dhuan ghar mein

saje hain farsh lahu se to dar azabon se
ugi hain sakht zaminon ki khetiyan ghar mein

sukun ki shakl ho paida koi to kaise ho
yaqin hai sarhad-e-jaan se pare guman ghar mein

ajib taur se badle hain mausamon ne chalan
bahaar dasht mein rahti hai aur khizan ghar mein

ulat gae hain qarabat ke zabte sare
sabaen qabr pe chalti hain aandhiyan ghar mein

use hi man liya hum ne bakht ka mawa
baja raha tha jo aaseb sitiyan ghar mein

nahin wo aankh ki hum dushmanon ko pahchanen
dabae baithe hain apnon ki haddiyan ghar mein

ibaadaton ne bhi dhunde hain ab nae maskan
namaz hone lagi dasht mein azan ghar mein

utha ke sar kabhi nikle to ye na yaad raha
ki chhod aae hain aaba ki pagdiyan ghar mein

mila hai baz adalat ka dar pe kya kije
padi hai khauf se sahmi hui zaban ghar mein

subut-e-be-gahni rah gaya khayalon mein
rakha safai ka yaron ne har bayan ghar mein

hai 'arsh' aaj to fitrat bhi ham-rakab-e-qaza
ghataen auj-e-falak par hain bijliyan ghar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close