ju-e-kam-ab se ek tez sa jharna hua main teri jaanib hun rawan shor machata hua main mujh se khali nahin ab ek bhi zarra hai yahan dekh ye tang zamin aur ye phaila hua main dekh kar wusat-e-sahra-e-tapan larzan hun sahil-e-dida-e-namnak pe thahra hua main pa-ba-zanjir idhar tez hua aur udhar khak ke takht pe sultan sa baitha hua main koi khurshid sa duniya pe chamakta hua tu kisi diwar se saya sa nikalta hua main