tum ho ya chhedti hai yaad-e-sahar koi to hai khatkhatata hai jo ye khwab ka dar koi to hai dil pe padti hui duzdida-nazar koi to hai jis taraf dekh raha hun main udhar koi to hai aise nadan nahin raaton mein bhatakne wale jagti aankhon mein khurshid-e-sahar koi to hai khud-bakhud hath gareban ki taraf uthte hain sarsaraati si hawaon mein khabar koi to hai kis ka munh dekh rahi hai safar-amada hayat su-e-maqtal hi sahi rahguzar koi to hai tu mujhe dekh mere panw ke chhaalon pe na ja zindagi tere liye khak-basar koi to hai din kata sara kharabon mein bhatakte 'akhtar' sham hoti hai chalo khair se ghar koi to hai