khak nind aae agar dida-e-bedar mile is kharabe mein kahan khwab ke aasar mile us ke lahje mein qayamat ki fusun-kari thi log aawaz ki lazzat mein giraftar mile us ki aankhon mein mohabbat ke diye jalte rahen aur pindar mein inkar ki diwar mile mere andar use khone ki tamanna kyun hai jis ke milne se meri zat ko izhaar mile ruh mein rengti rahti hai gunah ki khwahish is amarbel ko ek din koi diwar mile