tere ehsanon ka haq pura ada karte hain bharne lagte hain to zakhmon ko hara karte hain nind ko hum kabhi zaea nahin hone dete le ke bistar se hasin khwab utha karte hain ishq mein haar ke mar jaana koi ishq nahin dam-e-akhir bhi to bimar dawa karte hain jashn-e-shahi mein gharibon ko bhi dawat dena chand ke sath sitare bhi ziya karte hain bas yahi aakhiri laghzish hai hamari 'anjum' sab yahi soch ke har bar khata karte hain