khayal mein ek na ek maze ki nai kahani hai aur hum hain abhi tamanna hai aur dil hai abhi jawani hai aur hum hain ghariq-e-bahr-e-sitam na kyun hon ye jaan-fishani hai aur hum hain ki aap hain aap ki chhuri hai chhuri ka pani hai aur hum hain dam-e-akhir us ko ab na sochen ye sochna chahiye tha pahle maal kya hoga zindagi ka jahan-e-fani hai aur hum hain ye ishq par husn ki inayat ye husn se ishq ki iradat hamari hasrat hai aur tu hai teri jawani hai aur hum hain nigah-e-ulfat bhi ho chali kuchh sitam bhi karne laga wo zalim agar yahi mehrbaniyan hain to kaamrani hai aur hum hain ada ne chheda nazar ne taka sitam ne luta ghazab ne mara zaban jab se khuli hamari yahi kahani hai aur hum hain baqa ka charcha jahan bhar mein magar baqa se jahan khali khayal-e-aish-e-mudam kaisa jahan-e-fani hai aur hum hain abhi se tauba abhi se taqwa abhi se kya fikr-e-din-o-uqba nai umangen nai tarangen nai jawani hai aur hum hain pahunch pahunch kar falak par aahen karen na anjum mein kyun izafa ki sham se subh tak shab-e-gham sharar-fishani hai aur hum hain kise tawaqqo na aaenge wo yaqin kise tha bulaenge wo ye khas un ki hai mehrbani ki mehrbani hai aur hum hain utha hi denge naqab apni dikha hi denge wo apna jalwa nibhegi kab tak ye lan-tarani ye lan-tarani hai aur hum hain bhare hue chashm-e-tar mein aansu jigar mein bhadki hui tap-e-gham ye aag hai aur ye hai pani ye aag pani hai aur hum hain fughan to aakhir fughan hi thahri gila to aakhir gila hi thahra muhaal hai jis mein sans leni wo na-tawani hai aur hum hain nae shagufe na kyun khilaen jo ghuncha-o-gul ko dekh paen bahaar to hai chaman ki rani chaman ki rani hai aur hum hain kabhi to hum hain yahan wahan ke kabhi tasawwur idhar udhar ka sukun-o-rahat se kya talluq ki bad-gumani hai aur hum hain jata chuke dard-e-dil ko apne jo ab jataen to kya jataen kahi hui bhi suni hui bhi wahi kahani hai aur hum hain bahut se ulfat mein aae tufan raha kiye 'nuh' bhi pareshan magar wahi paiham aansuon ki abhi rawani hai aur hum hain