phir uthaya jaunga mitti mein mil jaane ke baad garche hun sahma hua buniyaad hil jaane ke baad aap ab hum se hamari khairiyat mat puchhiye aadmi khud ka kahan rahta hai dil jaane ke baad sakht-jaani ki badaulat ab bhi hum hain taza-dam khushk ho jate hain warna ped hil jaane ke baad khauf aata hai bulandi ki taraf chadhte hue gul ka murjhana hi rah jata hai khil jaane ke baad fikr lahaq hai hamesha misl-e-tukhm-e-na-tawan hashr kya hoga darun-e-ab-o-gil jaane ke baad is tarah hairan hain sab dekh kar 'raghib' mujhe jaise koi aa gaya ho mustaqil jaane ke baad